Milne ko toh yun log bahut mile, per dost mile bas do-char
Mein apne mann ki baatein kar leta hun inse baar baar
Kabhi mere aansoon yeh ro lete hain,kabhi mein inki khushi ban jaata hun
Mein apne bhagy pe aajkal bda ithlata hun
Milne ko toh asaan hai milna pyar
Per dost nahi milte aise baar baar
Khud mein jano naa jano
Jaan lete hain yeh mujko har baar
Milne ko toh yun log bahut mile, per dost mile bas do-char
Aise dost aur dhudne chahe maine kai baar
Mila naa mujhe koi bhi, dhud liya sansaar
Jaan dene ko rehte hain yeh har dam tayaar
Kehte hain ‘Tujhse bad kar hai kya yaar’
Woh mere hi hisse hain, sabse maje dar kisse hain
Mile ko toh yun bahut log mile, per dost mile bas do-char
Gaane ko bahut gaane gaye, per khas mere hain bas do-char
Kehte hain kai baar ek dusre se hum,
Mana ki yaar bahut satke ho tum,
Per saala humari her saans mein aatke ho tum,
Kal yaad aaye the mujhe tum sab, aaj fir yaad kar rha hun
Bas asie hi aajkal apne din guzaar rha hun
Milne ko toh yun log bahut mile, per dost mile bas do-char
Likhne ko toh bahut likha maine, per shabd mere hain do-char`
Rehte ho humesha hi mere ass pass
Tum dekhte ho jinta, ho usse bhi pass
Kya byan karu mein aur, kya aur mein likh payunga
Gussa yun toh kiya hai maine baar baar,
Per bhadaas nikalne ke liye mujhe mile hain bas do-char
Milne ko toh yun log bahut mile, per dost mile bas do-char
Mein apne mann ki baatein kar leta hun inse baar baar
It cannot get any better.. Hats off Parag... One of the best poems I have ever read.. itni acchi tarah se feelings ko poetry mein kaise la sakta hai yaar..
ReplyDeletegreat work...
miss u people.. a lot
parag the poet, your best :)
ReplyDeleteYaaar..... sach me badh ke hai be(Poem + parag).....
ReplyDelete